Aysa Nahi K Tujh se Muhabbat Nahi
Aysa nahi k tujh say mohabbat nahi hamain
gham roz roz sehnay ki adat nahi hamain
har bar teray samnay sir ko jhuka lia
or phir bhi dekh tujh say shikayat nahi hamain
or phir bhi dekh tujh say shikayat nahi hamain
tu aitbar kar kay tujhay chahte hain hum
teray siwa kese ki bhi chahat nahi hamain
teray siwa kese ki bhi chahat nahi hamain
hum jante hain tu bhi hay tanha hamare bin
oron say pochne ki zarurat nahi hamain
tu qatal bhi karay ga to aien gay teray pas
oron say dukh bhi kehnay say ragbat nahi hamain
oron say dukh bhi kehnay say ragbat nahi hamain
kesay rahain gay bin teray ab baat man lay
teray bagair rehnay ki adat nahi hamain
teray bagair rehnay ki adat nahi hamain
bichra hay tu,to dil pay qayamat guzar gae
ab intezar roz qayamat nahi hamaian
ab intezar roz qayamat nahi hamaian
hum har man lain gay muqabil jo aya tu
arman fatha-o-shoq shahadat nahi hamain
arman fatha-o-shoq shahadat nahi hamain
gar tu udass hay to kanwal bhi udass hay
ya mat samjh k tujh say mohabbat nahi hamain
ya mat samjh k tujh say mohabbat nahi hamain
Meri diwangi pay es qadar heran hotay ho
mera nuqsan to deko muhabbat gumshuda meri
0 comments:
Post a Comment